Aaj Fhir ek Cigarette jala raha hu
Fir ek tilli bhuja raha hu.
Uski nazar main yeh ek gunah hai
Main toh uske Vaade bhula raha hu.
Samajhna mat isko meri aadat
Mian toh bas Dhuaa Uda Raha hu.
ye uski yaadon ke silsile hai
Main uss bedard ki yaade jala raha hu.
Main pikar itna bahak Chuka hu
K Gum ke Kisse suna raha hu.
Agar tumhe bhi gum ho toh paas aao
Main pi raha hu aur pila raha hu.
Hai meri aankhen toh aaj Num
Magart main sabko hassa raha hu,
Aur Fhir ek Cigarette jala raha hu Labels: experiences of life |