by ganesh hegde
jaa rahe ho agar duur mujhse sanam
phir mere paas aana nahi
yeh bhi mumkin nahi main palat na saku
isliye itna wada karo
mujhko aawaz dena nahi
jaa rahe ho agar duur muhjse sanam
phir mere paas aana nahi
yeh bhi mumkin nahi main palat na saku
isliye itna wada karo
mujhko aawaz dena nahi
mil bhi jaayen agar ham tumhen raah mein
pher lena nazar par milana nahi
dekh lu bhi agar tum hamein bhool se
apni aankhon mein tum ashk lana nahi
dil se humko to tum kar chunke ho juda
aankh se bhi girana nahi
tumne maangi dua humko miley har khushi
tum hi meri khushi phir kyun miley na hamein
tumne li hai kasam gam na karna kabhi
tum sikhado zara muskurana hamein
tumne keh toh diya yaad karna nahi
khwaab mein tum bhi aana nahi
from -kaante
Socha nahin tha taqdeer yahan laayegi
Manzil pe aate hi jaan chali jaayegi
O, yeh to Sikandar ne bhi nahin tha socha
Aane se pehle khushi laut jaayegi
Humne socha tha kya, aur kya se kya hua
Jaa rahe hai aaj yeh zamaane ko bataake
Yeh kya ho gaya rama re, yeh kya ho gaya maula re
Tera qusoor tha ya mera qusoor tha
Tera guroor tha ya mera guroor tha
Rabba main itna bura nahin hota
Tu agar bewafa nahin hota
Itna bata mujhe, kya mila tujhe
Gham ke yeh kaante meri raahon mein bichhaake
Yeh kya ho gaya rama re, yeh kya ho gaya maula re
Labels: Lonely Sachin |